kin lafzon men itnii kadvii itnii kasiilii baat likhuun

Javed Akhtar

Kin lafzon men itnee kaDvee itnee kaseelee baat likhoon Sher kee main tahzeeb banaa hoon yaa apne haalaat likhoon Gham naheen likkhoon kya main gham ko jashn likhoon kya maatam ko Jo dekhe hain main ne janaaze kya un ko baaraat likhoon Kaise likhoon main chaand ke qisse kaise likhoon main phuul kee baat Ret uDaa.e garm havaa to kaise main barsaat likhoon Kis kis kee aankhon men dekhe main ne zahr bujhe khanjar Khud se bhee jo main ne chhupaa.e kaise wo sadmaat likhoon Takht kee khvaahish luuT kee laalach kamzoron par zulm kaa shauq Lekin un kaa farmaanaa hai main in ko jazbaat likhoon Qaatil bhee maqtool bhee donon naam khuda kaa lete the Koee khuda hai to wo kahaan thaa meree kya auqaat likhoon Apnee apnee taareekee ko log ujaalaa kahte hain Taareekee ke naam likhoon to qaumen firqe zaat likhoon Jaane ye kaisaa daur hai jis men jur.at bhee to mushkil hai Din ho agar to us ko likhoon din raat agar ho raat likhoon