main kab se kitnaa hoon tanhaa tujhe pataa bhi nahin
— Javed Akhtar
Main kab se kitnaa hoon tanhaa tujhe pataa bhee nahin
Tiraa to koi khuda hai miraa khuda bhee nahin
Kabhi ye lagtaa hai ab khatm ho gaya sab Kuch
Kabhi ye lagtaa hai ab tak to Kuch huaa bhee nahin
Kabhi to baat kee us ne kabhi raha khaamosh
Kabhi to hans ke milaa aur kabhi milaa bhee nahin
Kabhi jo talkh-kalaamee thee wo bhee khatm huee
Kabhi gila thaa hamen un se ab gila bhee nahin
Wo cheekh ubhree baDee der goonjee Doob ga.ee
Har ek suntaa thaa lekin koi hilaa bhee nahin