main khud bhi sochtaa hoon ye kya meraa haal hai

Javed Akhtar

Main khud bhee sochtaa hoon ye kya meraa haal hai Jis kaa javaab chaahiye wo kya savaal hai Ghar se chalaa to dil ke sivaa paas Kuch na thaa Kya mujh se kho gaya hai mujhe kya malaal hai Aasoodgee se dil ke sabhee daagh dhul ga.e Lekin wo kaise jaa.e jo sheeshe men baal hai Be-dast-o-paa hoon aaj to ilzaam kis ko duun Kal main ne hee bunaa thaa ye meraa hee jaal hai Phir koee khvaab dekhoon koee aarzoo karoon Ab ai dil-e-tabaah tiraa kya khayaal hai