nigal gae sab ki sab samundar zameen bachii ab kahiin nahin hai
— Javed Akhtar
Nigal ga.e sab kee sab samundar zameen bachee ab kaheen nahin hai
Bachaate ham apnee jaan jis men wo kashtee bhee ab kaheen nahin hai
Bahut dinon ba.ad paa.ee fursat to main ne khud ko palaT ke dekhaa
Magar main pahchaantaa thaa jis ko wo aadmee ab kaheen nahin hai
Guzar gaya vaqt dil pe likh kar na jaane kaisee ajiib baaten
Varaq palaTtaa hoon main jo dil ke to saadgee ab kaheen nahin hai
Wo aag barsee hai dopahar men ki saare manzar jhulas ga.e hain
Yahaan savere jo taazgee thee wo taazgee ab kaheen nahin hai
Tum apne qasbon men jaa ke dekho vahaan bhee ab shahr hee base hain
Ki DhoonDhte ho jo zindagee tum wo zindagee ab kaheen nahin hai