saarii hairat hai mirii saarii adaa us ki hai
— Javed Akhtar
Saaree hairat hai miree saaree adaa us kee hai
Be-gunaahee hai miree aur sazaa us kee hai
Mere alfaaz men jo rang hai wo us kaa hai
Mere ehsaas men jo hai wo fazaa us kee hai
Sher mere hain magar in men mohabbat us kee
Phuul mere hain magar baad-e-sabaa us kee hai
Ik mohabbat kee ye tasveer hai do rangon men
Shauq sab meraa hai aur saaree hayaa us kee hai
Ham ne kya us se mohabbat kee ijaazat lee thee
Dil-shikan hee sahee par baat bajaa us kee hai
Ek mere hee sivaa sab ko pukaare hai koee
Main ne pahle hee kahaa thaa ye sadaa us kee hai
Khoon se seenchee hai main ne jo zameen mar mar ke
Wo zameen ek sitam-gar ne kahaa us kee hai
Us ne hee is ko ujaaDaa hai ise luuTaa hai
Ye zameen us kee agar hai bhee to kya us kee hai