sach ye hai be kaar hamen gam hota hai
— Javed Akhtar
Sach ye hai be-kaar hamen gham hota hai
Jo chaahaa thaa Dunya men kam hota hai
Dhaltaa sooraj phailaa jangal rasta gum
Ham se poochho kaisaa aalam hota hai
Ghairon ko kab fursat hai dukh dene kee
Jab hota hai koi hamdam hota hai
Zakhm to ham ne in aankhon se dekhe hain
Logon se sunte hain marham hota hai
Zehn kee shaakhon par ash.aar aa jaate hain
Jab teree yaadon kaa mausam hota hai