wo dhal raha hai to ye bhi rangat badal rahii hai

Javed Akhtar

Wo Dhal raha hai to ye bhee rangat badal rahee hai Zameen sooraj kee ungliyon se phisal rahee hai Jo mujh ko zinda jalaa rahe hain wo be-khabar hain Ki meree zanjeer dheere dheere pighal rahee hai Main qatl to ho gaya tumhaaree galee men lekin Mire lahoo se tumhaaree deevaar gal rahee hai Na jalne paate the jis ke choolhe bhee har savere Sunaa hai kal raat se wo bastee bhee jal rahee hai Main jaantaa hoon ki khaamushee men hee maslahat hai Magar yahee maslahat mire dil ko khal rahee hai Kabhee to insaan zindagee kee karegaa izzat Ye ek ummeed aaj bhee dil men pal rahee hai