wo zamaana guzar gaya kab kaa
— Javed Akhtar
Wo zamaana guzar gaya kab kaa
Tha jo deevaana mar gaya kab kaa
DhoonDhtaa tha jo ik na.ee dunya
LuuT ke apne ghar gaya kab kaa
Wo jo laayaa tha ham ko Dariya tak
Paar akele utar gaya kab kaa
Us kaa jo haal hai vahee jaane
Apna to zakhm bhar gaya kab kaa
Khvaab-dar-khvaab tha jo sheeraaza
Ab kahaan hai bikhar gaya kab kaa