ye tasallii hai ki hain naashaad sab
— Javed Akhtar
Ye tasallee hai ki hain naashaad sab
Main akelaa hee nahin barbaad sab
Sab kee khaatir hain yahaan sab ajnabee
Aur kahne ko hain ghar aabaad sab
Bhuul ke sab ranjishen sab ek hain
Main bataa.oon sab ko hogaa yaad sab
Sab ko da.avaa-e-wafa sab ko yaqeen
Is adaakaaree men hain ustaad sab
Shahr ke haakim kaa ye farmaan hai
Qaid men kahlaa.enge aazaad sab
Chaar lafzon men kaho jo bhee kaho
Us ko kab fursat sune fariyaad sab
Talkhiyaan kaise na hoon ash.aar men
Ham pe jo guzree hamen hai yaad sab