aadmii aadmii se miltaa hai
— Jigar Moradabadi
Aadmee aadmee se miltaa hai
Dil magar kam kisee se miltaa hai
Bhuul jaataa hoon main sitam us ke
Wo kuch is saadgee se miltaa hai
Aaj kya baat hai ki phoolon kaa
Rang teree hansee se miltaa hai
Silsila fitna-e-qayaamat kaa
Teree khush-qaamatee se miltaa hai
Mil ke bhee jo kabhi nahin miltaa
Toot kar dil usee se miltaa hai
Kaarobaar-e-jahaan sanvarte hain
Hosh jab be-khudee se miltaa hai
Ruuh ko bhee mazaa mohabbat kaa
Dil kee ham-saa.egee se miltaa hai