agar na zohra jabiinon ke darmiyaan guzre
— Jigar Moradabadi
Agar na zohra-jabeenon ke darmiyaan guzre
To phir ye kaise kaTe zindagee kahaan guzre
Jo tere aariz o gesoo ke darmiyaan guzre
Kabhi kabhi vahee lamhe balaa-e-jaan guzre
Mujhe ye vahm raha muddaton ki jur.at-e-shauq
Kaheen na khaatir-e-maasoom par giraan guzre
Har ik maqaam-e-mohabbat bahut hee dilkash thaa
Magar ham ahl-e-mohabbat kashaan kashaan guzre
Junoon ke sakht maraahil bhee teree yaad ke saath
Haseen haseen nazar aa.e javaan javaan guzre
Miree nazar se tiree justujoo ke sadqe men
Ye ik jahaan hee nahin sainkaDon jahaan guzre
Hujoom-e-jalva men parvaaz-e-shauq kya kahnaa
Ki jaise ruuh sitaaron ke darmiyaan guzre
Khataa-muaaf zamaane se bad-gumaan ho kar
Tiree wafa pe bhee kya kya hamen gumaan guzre
Mujhe thaa shikva-e-hijraan ki ye huaa mahsoos
Mire qareeb se ho kar wo naa-gahaan guzre
Rah-e-wafa men ik aisa maqaam bhee aayaa
Ki ham khud apnee taraf se bhee bad-gumaan guzre
Khuloos jis men ho shaamil wo daur-e-ishq-o-havas
Na raa.egaan kabhi guzraa na raa.egaan guzre
Usee ko kahte hain jannat usee ko dozakh bhee
Wo zindagee jo haseenon ke darmiyaan guzre
Bahut haseen manaazir bhee husn-e-fitrat ke
Na jaane aaj tabee.at pe kyuun giraan guzre
Wo jin ke saa.e se bhee bijliyaan laraztee thiin
Miree nazar se Kuch aise bhee aashiyaan guzre
Miraa to farz chaman-bandi-e-jahaan hai faqat
Miree balaa se bahaar aa.e yaa khizaan guzre
Kahaan kaa husn ki khud ishq ko khabar na huee
Rah-e-talab men Kuch aise bhee imtihaan guzre
Bharee bahaar men taaraaji-e-chaman mat poochh
Khuda kare na phir aankhon se wo samaan guzre
Koi na dekh sakaa jin ko wo dilon ke sivaa
Muaamlaat Kuch aise bhee darmiyaan guzre
Kabhi kabhi to isee ek musht-e-khaak ke gird
Tavaaf karte hue haft aasmaan guzre
Bahut haseen sahee sohbaten gulon kee magar
Wo zindagee hai jo kaanTon ke darmiyaan guzre
Abhee se tujh ko bahut naagavaar hain hamdam
Wo haadsaat jo ab tak ravaan-davaan guzre
Jinhen ki deeda-e-shaa.ir hee dekh saktaa hai
Wo inqilaab tire saamne kahaan guzre
Bahut aziiz hai mujh ko unhen kya yaad 'jigar'
Wo haadsaat-e-mohabbat jo naa-gahaan guzre