ai husn e yaar sharm ye kya inqalaab hai
— Jigar Moradabadi
Ai husn-e-yaar sharm ye kya inqalaab hai
Tujh se ziyaada dard tiraa kaamyaab hai
Aashiq kee be-dilee kaa taghaaful nahin javaab
Us kaa bas ek josh-e-mohabbat javaab hai
Teree inaayaten ki nahin nazr-e-jaan qubool
Teree navaazishen ki zamaana kharaab hai
Ai husn apnee hausla-afzaa.iyaan to dekh
Maanaa ki chashm-e-shauq bahut be-hijaab hai
Main ishq-e-be-niyaaz hoon tum husn-e-be-panaah
Meraa javaab hai na tumhaaraa javaab hai
Mai-khaana hai usee kaa ye dunya usee kee hai
Jis tishna-lab ke haath men jaam-e-sharaab hai
Us se dil-e-tabaah kee roodaad kya kahoon
Jo ye na sun sake ki zamaana kharaab hai
Ai mohtasib na phenk mire mohtasib na phenk
Zaalim sharaab hai are zaalim sharaab hai
Apne hudood se na baDhe koi ishq men
Jo zarra jis jagah hai vaheen aaftaab hai
Wo laakh saamne hon magar is kaa kya ilaaj
Dil maantaa nahin ki nazar kaamyaab hai
Meree nigaah-e-shauq bhee kuch kam nahin magar
Phir bhee tiraa shabaab tiraa hee shabaab hai
Maanoos-e-aitbaar-e-karam kyuun kiyaa mujhe
Ab har khataa-e-shauq isee kaa javaab hai
Main us kaa aa.eena hoon wo hai meraa aa.eena
Meree nazar se us kee nazar kaamyaab hai
Tanhaa.ee-e-firaaq ke qurbaan jaa.iye
Main hoon khayaal-e-yaar hai chashm-e-pur-aab hai
Sarmaaya-e-firaaq 'jigar' aah kuch na poochh
Ab jaan hai so apne liye khud azaab hai