allaah agar taufiiq na de insaan ke bas kaa kaam nahin
— Jigar Moradabadi
Allaah agar taufeeq na de insaan ke bas kaa kaam naheen
Faizaan-e-mohabbat aam sahee irfaan-e-mohabbat aam naheen
Ye too ne kahaa kya ai naadaan fayyaazee-e-qudrat aam naheen
Too fikr o nazar to paidaa kar kya chiiz hai jo in.aam naheen
Yaa-rab ye maqaam-e-ishq hai kya go deeda-o-dil naakaam naheen
Taskeen hai aur taskeen naheen aaraam hai aur aaraam naheen
Kyuun mast-e-sharaab-e-aish-o-tarab takleef-e-tavajjoh farmaa.en
Awaaz-e-shikast-e-dil hee to hai awaaz-e-shikast-e-jaam naheen
Aanaa hai jo bazm-e-jaanaan men pindaar-e-khudee ko toD ke aa
Ai hosh-o-khirad ke deevaane yaan hosh-o-khirad kaa kaam naheen
Zaahid ne Kuch is andaaz se pee saaqee kee nigaahen paDne lageen
Mai-kash yahee ab tak samjhe the shaa.ista daur-e-jaam naheen
Ishq aur gavaaraa khud kar le be-shart shikast-e-faash apnee
Dil kee bhee Kuch un ke saazish hai tanhaa ye nazar kaa kaam naheen
Sab jis ko aseeree kahte hain wo to hai ameeree hee lekin
Wo kaun see aazaadee hai yahaan jo aap khud apna daam naheen