be kaif dil hai aur jiye jaa raha hoon main
— Jigar Moradabadi
Be-kaif dil hai aur jiye jaa raha hoon main
Khaalee hai sheesha aur piye jaa raha hoon main
Paiham jo aah aah kiye jaa raha hoon main
Daulat hai gham zakaat diye jaa raha hoon main
Majboori-e-kamaal-e-mohabbat to dekhnaa
Jiinaa naheen qubool jiye jaa raha hoon main
Wo dil kahaan hai ab ki jise pyaar keejiye
Majbooriyaan hain saath diye jaa raha hoon main
Rukhsat huee shabaab ke hamraah zindagee
Kahne kee baat hai ki jiye jaa raha hoon main
Pahle sharaab ziist thee ab ziist hai sharaab
Koee pilaa raha hai piye jaa raha hoon main