dil hasiin hai to mohabbat bhi hasiin paidaa kar

Jigar Moradabadi

Pahle to husn-e-amal husn-e-yaqeen paidaa kar Phir isee khaak se firdaus-e-bareen paidaa kar Yahee dunya ki jo but-khaana banee jaatee hai Isee but-khaane se ka.abe kee zameen paidaa kar Rooh-e-aadam nigaraan kab se hai teree jaanib UTh aur ik jannat-e-jaaved yaheen paidaa kar Khas-o-khaashaak-e-tavahhum ko jalaa kar rakh de Ya.anee aatish-kada-e-soz-e-yaqeen paidaa kar Gham mayassar hai to is ko gham-e-kaunain banaa Dil haseen hai to mohabbat bhee haseen paidaa kar Aasmaan markaz-e-takh.eel-o-tasavvur kab tak Aasmaan jis se khajil ho wo zameen paidaa kar Dil ke har qatre men toofaan-e-tajallee bhar de Batn-e-har-zarra se ik mahr-e-mubeen paidaa kar Bandagee yuun to hai insaan kee fitrat lekin Naaz jis pe karen sajde wo jabeen paidaa kar Pastee-e-khaak pe kab tak tiree be-baal-o-paree Phir maqaam apna sar-e-arsh-e-bareen paidaa kar Ishq hee zinda o paa.inda haqeeqat hai 'jigar' Ishq ko aam banaa zauq-e-yaqeen paidaa kar Pahle to husn-e-amal husn-e-yaqin paida kar Phir isi KHak se firdaus-e-barin paida kar Yahi duniya ki jo but-KHana bani jati hai Isi but-KHane se kabe ki zamin paida kar Ruh-e-adam nigaran kab se hai teri jaanib UTh aur ek jannat-e-jawed yahin paida kar KHas-o-KHashak-e-tawahhum ko jala kar rakh de Yani aatish-kada-e-soz-e-yaqin paida kar Gham mayassar hai to is ko gham-e-kaunain bana Dil hasin hai to mohabbat bhi hasin paida kar Aasman markaz-e-taKHil-o-tasawwur kab tak Aasman jis se KHajil ho wo zamin paida kar Dil ke har qatre mein tufan-e-tajalli bhar de Batn-e-har-zarra se ek mahr-e-mubin paida kar Bandagi yun to hai insan ki fitrat lekin Naz jis pe karen sajde wo jabin paida kar Pasti-e-KHak pe kab tak teri be-baal-o-pari Phir maqam apna sar-e-arsh-e-barin paida kar Ishq hi zinda o painda haqiqat hai 'jigar' Ishq ko aam bana zauq-e-yaqin paida kar