dil ko sukuun ruuh ko aaraam aa gaya
— Jigar Moradabadi
Dil ko sukoon ruuh ko aaraam aa gaya
Maut aa ga.ee ki dost kaa paighaam aa gaya
Jab koi zikr-e-gardish-e-ayyaam aa gaya
Be-ikhtiyaar lab pe tiraa naam aa gaya
Gham men bhee hai suroor wo hangaam aa gaya
Shaayad ki daur-e-baada-e-gulfaam aa gaya
Deevaangee ho aql ho ummeed ho ki yaas
Apna vahee hai vaqt pe jo kaam aa gaya
Dil ke muaamlaat men naaseh shikast kya
Sau baar husn par bhee ye ilzaam aa gaya
Sayyaad shaadmaan hai magar ye to soch le
Main aa gaya ki saaya tah-e-daam aa gaya
Dil ko na poochh maarka-e-husn-o-ishq men
Kya jaaniye ghareeb kahaan kaam aa gaya
Ye kya maqaam-e-ishq hai zaalim ki in dinon
Aksar tire baghair bhee aaraam aa gaya
Ahbaab mujh se qat-e-ta.alluq karen 'jigar'
Ab aaftaab-e-zeest lab-e-baam aa gaya