Dunya ke sitam yaad na apnii hi wafa yaad
— Jigar Moradabadi
Dunya ke sitam yaad na apnee hee wafa yaad
Ab mujh ko nahin Kuch bhee mohabbat ke sivaa yaad
Main shikva ba-lab thaa mujhe ye bhee na raha yaad
Shaayad ki mire bhoolne vaale ne kiyaa yaad
ChheDaa thaa jise pahle-pahal teree nazar ne
Ab tak hai wo ik naghma-e-be-saaz-o-sadaa yaad
Jab koi haseen hota hai sargarm-e-navaazish
Us vaqt wo Kuch aur bhee aate hain sivaa yaad
Kya jaaniye kya ho gaya arbaab-e-junoon ko
Marne kee adaa yaad na jiine kee adaa yaad
Muddat huee ik haadsa-e-ishq ko lekin
Ab tak hai tire dil ke dhaDakne kee sadaa yaad
Haan haan tujhe kya kaam miree shiddat-e-gham se
Haan haan nahin mujh ko tire daaman kee havaa yaad
Main tark-e-rah-o-rasm-e-junoon kar hee chukaa thaa
Kyuun aa ga.ee aise men tiree laghzish-e-paa yaad
Kya lutf ki main apna pata aap bataa.oon
Kiije koi bhoolee huee khaas apnee adaa yaad