fikr e manzil hai na hosh e jaada e manzil mujhe

Jigar Moradabadi

Fikr-e-manzil hai na hosh-e-jaada-e-manzil mujhe Jaa raha hoon jis taraf le jaa raha hai dil mujhe Ab zabaan bhee de adaa-e-shukr ke qaabil mujhe Dard bakhshaa hai agar too ne bajaa.e-dil mujhe Yuun taDap kar dil ne taDpaayaa sar-e-mahfil mujhe Us ko qaatil kahne vaale kah uThe qaatil mujhe Ab kidhar jaa.oon bataa ai jazba-e-kaamil mujhe Har taraf se aaj aatee hai sadaa-e-dil mujhe Rok saktee ho to baDh kar rok le manzil mujhe Har taraf se aaj aatee hai sadaa-e-dil mujhe Jaan dee ki hashr tak main hoon miree tanhaa.iyaan Haan mubaarak fursat-e-nazzaara-e-qaatil mujhe Har ishaare par hai phir bhee gardan-e-tasleem kham Jaantaa hoon saaf dhoke de raha hai dil mujhe Jaa bhee ai naaseh kahaan kaa suud aur kaisaa ziyaan Ishq ne samjhaa diyaa hai ishq kaa haasil mujhe Main azal se sub.h-e-mahshar tak farozaan hee raha Husn samjhaa thaa charaagh-e-kushta-e-mahfil mujhe Khoon-e-dil rag rag men jam kar rah gaya is vahm se BaDh ke siine se na lipTaa le miraa qaatil mujhe Kaisaa qatra kaisaa Dariya kis kaa toofaan kis kee mauj Too jo chaahe to Dubo de khushkee-e-saahil mujhe Phoonk de ai ghairat-e-soz-e-mohabbat phoonk de Ab samajhtee hain wo nazren rahm ke qaabil mujhe ToD kar baiThaa hoon raah-e-shauq men paa-e-talab Dekhnaa hai jazba-e-be-taabee-e-manzil mujhe Ai hujoom-e-naa-umeedee shaad-baash-o-zinda-baash Too ne sab se kar diyaa begaana-o-ghaafil mujhe Dard-e-mahroomee sahee ehsaas-e-naakaamee sahee Us ne samjhaa to bahar-soorat kisee qaabil mujhe Ye bhee kya manzar hai baDhte hain na rukte hain qadam Tak raha hoon duur se manzil ko main manzil mujhe