gaandhii ji ki yaad men
— Jigar Moradabadi
Vahee hai shor-e-haa.e-o-hoo, vahee hujoom-e-mard-o-zan
Magar wo husn-e-zindagee, magar wo jannat-e-vatan
Vahee zameen, vaheen zamaan, vahee makeen, vahee makaan
Magar suroor-e-yak-dilee, magar nashaat-e-anjuman
Vahee hai shauq-e-nau-ba-nau, vahee jamaal-e-rang-rang
Magar wo ismat-e-nazar, tahaarat-e-lab-o-dahan
Taraqqiyon pe garche hain, tamaddun-o-muaashrat
Magar wo husn-e-saadgee, wo saadgee kaa baankpan
Sharaab-e-nau kee mastiyaan, ki al-hafeez-o-al-amaan
Magar wo ik lateef saa suroor-e-baada-e-kuhan
Ye naghma-e-hayaat hai ki hai ajal taraana-sanj
Ye daur-e-kaa.enaat hai ki raqs men hai ahrman
Hazaar-dar-hazaar hain agarche rahbaraan-e-mulk
Magar wo peer-e-naujavaan, wo ek mard-e-saf-shikan
Vahee mahaatmaa vahee shaheed-e-amn-o-aashtee
Prem jis kee zindagee, khuloos jis kaa pairahan
Vahee sitaare hain, magar kahaan wo maahtaab-e-hind
Vahee hai anjuman, magar kahaan wo sadr-e-anjuman
Wahi hai shor-e-hae-o-hu, wahi hujum-e-mard-o-zan
Magar wo husn-e-zindagi, magar wo jannat-e-watan
Wahi zamin, wahin zaman, wahi makin, wahi makan
Magar surur-e-yak-dili, magar nashat-e-anjuman
Wahi hai shauq-e-nau-ba-nau, wahi jamal-e-rang-rang
Magar wo ismat-e-nazar, tahaarat-e-lab-o-dahan
Taraqqiyon pe garche hain, tamaddun-o-muashrat
Magar wo husn-e-sadgi, wo sadgi ka bankpan
Sharab-e-nau ki mastiyan, ki al-hafiz-o-al-aman
Magar wo ek latif sa surur-e-baada-e-kuhan
Ye naghma-e-hayat hai ki hai ajal tarana-sanj
Ye daur-e-kaenat hai ki raqs mein hai ahrman
Hazar-dar-hazar hain agarche rahbaran-e-mulk
Magar wo pir-e-naujawan, wo ek mard-e-saf-shikan
Wahi mahatma wahi shahid-e-amn-o-ashti
Prem jis ki zindagi, KHulus jis ka pairahan
Wahi sitare hain, magar kahan wo mahtab-e-hind
Wahi hai anjuman, magar kahan wo sadr-e-anjuman