ik lafz e mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai

Jigar Moradabadi

Ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai SimTe to dil-e-aashiq phaile to zamaanaa hai Ye kis kaa tasavvur hai ye kis kaa fasaanaa hai Jo ashk hai aankhon men tasbeeh kaa daanaa hai Dil sang-e-malaamat kaa har-chand nishaanaa hai Dil phir bhee miraa dil hai dil hee to zamaanaa hai Ham ishq ke maaron kaa itnaa hee fasaanaa hai Rone ko nahin koi hansne ko zamaanaa hai Wo aur wafa-dushman maanenge na maanaa hai Sab dil kee sharaarat hai aankhon kaa bahaanaa hai Shaa.ir hoon main shaa.ir hoon meraa hee zamaanaa hai Fitrat miraa aa.eenaa qudrat miraa shaanaa hai Jo un pe guzartee hai kis ne use jaanaa hai Apnee hee museebat hai apna hee fasaanaa hai Kya husn ne samjhaa hai kya ishq ne jaanaa hai Ham khaak-nasheenon kee Thokar men zamaanaa hai Aaghaaz-e-mohabbat hai aanaa hai na jaanaa hai Ashkon kee hukoomat hai aahon kaa zamaanaa hai Aankhon men namee see hai chup chup se wo baiThe hain Naazuk see nigaahon men naazuk saa fasaanaa hai Ham dard-ba-dil naalaan wo dast-ba-dil hairaan Ai ishq to kya zaalim teraa hee zamaanaa hai Yaa wo the khafaa ham se yaa ham hain khafaa un se Kal un kaa zamaana thaa aaj apna zamaanaa hai Ai ishq-e-junoon-pesha haan ishq-e-junoon-pesha Aaj ek sitamgar ko hans hans ke rulaanaa hai ThoDee see ijaazat bhee ai bazm-gah-e-hastee Aa nikle hain dam-bhar ko ronaa hai rulaanaa hai Ye ishq nahin aasaan itnaa hee samajh liije Ik aag kaa Dariya hai aur Doob ke jaanaa hai Khud husn-o-shabaab un kaa kya kam hai raqeeb apna Jab dekhiye ab wo hain aa.eena hai shaanaa hai Tasveer ke do rukh hain jaan aur gham-e-jaanaan Ik naqsh chhupaanaa hai ik naqsh dikhaanaa hai Ye husn-o-jamaal un kaa ye ishq-o-shabaab apna Jiine kee tamannaa hai marne kaa zamaanaa hai Mujh ko isee dhun men hai har lahza basar karnaa Ab aa.e wo ab aa.e laazim unhen aanaa hai Khuddaaree-o-mahroomee mahroomee-o-khuddaaree Ab dil ko khuda rakkhe ab dil kaa zamaanaa hai Ashkon ke tabassum men aahon ke tarannum men Ma.asoom mohabbat kaa ma.asoom fasaanaa hai Aansoo to bahut se hain aankhon men 'jigar' lekin Bandh jaa.e so motee hai rah jaa.e so daanaa hai