ishq e laa mahduud jab tak rahnumaa hota nahin

Jigar Moradabadi

Ishq-e-laa-mahdood jab tak rahnumaa hota naheen Zindagee se zindagee kaa haq adaa hota naheen Be-karaan hota naheen be-intihaa hota naheen Qatra jab tak baDh ke qulzum-aashnaa hota naheen Us se baDh kar dost koee doosraa hota naheen Sab judaa ho jaa.en lekin gham judaa hota naheen Zindagee ik haadsa hai aur kaisaa haadsa Maut se bhee khatm jis kaa silsila hota naheen Kaun ye naaseh ko samjhaa.e ba-tarz-e-dil-nasheen Ishq saadiq ho to gham bhee be-mazaa hota naheen Dard se maamoor hotee jaa rahee hai kaa.enaat Ik dil-e-insaan magar dard-aashnaa hota naheen Mere arz-e-gham pe wo kahnaa kisee kaa haa.e haa.e Shikva-e-gham sheva-e-ahl-e-wafa hota naheen Us maqaam-e-qarb tak ab ishq pahunchaa hee jahaan Deeda-o-dil kaa bhee aksar vaastaa hota naheen Har qadam ke saath manzil lekin is kaa kya ilaaj Ishq hee kam-bakht manzil-aashnaa hota naheen Allaah allaah ye kamaal aur irtibaat-e-husn-o-ishq Faasle hon laakh dil se dil judaa hota naheen Kya qayaamat hai ki is daur-e-taraqqee men 'jigar' Aadmee se aadmee kaa haq adaa hota naheen