ishq men laa javaab hain ham log

Jigar Moradabadi

Ishq men laa-javaab hain ham log Maahtaab aaftaab hain ham log Garche ahl-e-sharaab hain ham log Ye na samjho kharaab hain ham log Shaam se aa ga.e jo piine par Sub.h tak aaftaab hain ham log Ham ko daavaa-e-ishq-baazee hai Mustahiqq-e-azaab hain ham log Naaz kartee hai khaana-veeraanee Aise khaana-kharaab hain ham log Ham naheen jaante khizaan kya hai Kushtagaan-e-shabaab hain ham log Too hamaaraa javaab hai tanhaa Aur teraa javaab hain ham log Too hai Dariya-e-husn-o-mahboobee Shakl-e-mauj-o-habaab hain ham log Go saraapaa hijaab hain phir bhee Tere rukh kee naqaab hain ham log Khuub ham jaante hain apnee qadr Tere naa-kaamyaab hain ham log Ham se ghaflat na ho to phir kya ho Rah-rav-e-mulk-e-khvaab hain ham log Jaantaa bhee hai us ko too vaa.iz Jis ke mast-o-kharaab hain ham log Ham pe naazil huaa saheefa-e-ishq Saahibaan-e-kitaab hain ham log Har haqeeqat se jo guzar jaa.en Wo sadaaqat-ma.aab hain ham log Jab milee aankh hosh kho baiThe Kitne haazir-javaab hain ham log Ham se poochho 'jigar' kee sar-mastee Mahram-e-aan-janaab hain ham log