jaan kar min jumlaa e khaasaan e mai khaana mujhe
— Jigar Moradabadi
Jaan kar min-jumlaa-e-khaasaan-e-mai-khaana mujhe
Muddaton royaa karenge jaam o paimaana mujhe
Nang-e-mai-khaana thaa main saaqee ne ye kya kar diyaa
Piine vaale kah uThe yaa peer-e-mai-khaana mujhe
Sabza o gul mauj o Dariya anjum o khursheed o maah
Ik ta.alluq sab se hai lekin raqeebaana mujhe
Zindagee men aa gaya jab koi vaqt-e-imtihaan
Us ne dekhaa hai 'jigar' be-ikhtiyaaraana mujhe