kaam aakhir jazba e be ikhtiyaar aa hi gaya
— Jigar Moradabadi
Kaam aakhir jazba-e-be-ikhtiyaar aa hee gaya
Dil kuch is soorat se taDpaa un ko pyaar aa hee gaya
Jab nigaahen uTh ga.iin allaah-ree meraaj-e-shauq
Dekhtaa kya hoon wo jaan-e-intizaar aa hee gaya
Haa.e ye husn-e-tasavvur kaa fareb-e-rang-o-boo
Main ye samjhaa jaise wo jaan-e-bahaar aa hee gaya
Haan sazaa de ai khuda-e-ishq ai taufeeq-e-gham
Phir zabaan-e-be-adab par zikr-e-yaar aa hee gaya
Is tarah khush hoon kisee ke waada-e-fardaa pe main
Dar-haqeeqat jaise mujh ko aitbaar aa hee gaya
Haa.e kaafir-dil kee ye kaafir junoon-angeziyaan
Tum ko pyaar aa.e na aa.e mujh ko pyaar aa hee gaya
Dard ne karvaT hee badlee thee ki dil kee aaD se
Daf.atan parda uThaa aur parda-daar aa hee gaya
Dil ne ik naala kiyaa aaj is tarah deevaana-vaar
Baal bikhraa.e koi mastaana-vaar aa hee gaya
Jaan hee de dee 'jigar' ne aaj paa-e-yaar par
Umr bhar kee be-qaraaree ko qaraar aa hee gaya