kabhi shaakh o sabza o barg par kabhi guncha o gul o khaar par
— Jigar Moradabadi
Kabhee shaakh o sabza o barg par kabhee ghuncha o gul o khaar par
Main chaman men chaahe jahaan rahoon miraa haq hai fasl-e-bahaar par
Mujhe den na ghaiz men dhamkiyaan giren laakh baar ye bijliyaan
Miree saltanat ye hee aashiyaan miree milkiyat ye hee chaar par
Jinhen kahiye ishq kee vus.aten jo hain khaas husn kee azmaten
Ye usee ke qalb se poochhiye jise fakhr ho gham-e-yaar par
Mire ashk-e-khoon kee bahaar hai ki muraqqa-e-gham-e-yaar hai
Miree shaa.iree bhee nisaar hai miree chashm-e-sehr-nigaar par
Ajab inqilaab-e-zamaana hai miraa mukhtasar saa fasaana hai
Yahee ab jo baar hai dosh par yahee sar thaa zaanu-e-yaar par
Ye kamaal-e-ishq kee saazishen ye jamaal-e-husn kee naazishen
Ye inaayaten ye navaazishen miree ek musht-e-ghubaar par
Miree samt se use ai sabaa ye payaam-e-aakhir-e-gham sunaa
Abhee dekhnaa ho to dekh jaa ki khizaan hai apnee bahaar par
Ye fareb-e-jalva hai sar-ba-sar mujhe Dar ye hai dil-e-be-khabar
Kaheen jam na jaa.e tiree nazar inheen chand naqsh o nigaar par
Main raheen-e-dard sahee magar mujhe aur chaahiye kya 'jigar'
Gham-e-yaar hai miraa shefta main farefta gham-e-yaar par