kasrat men bhi vahdat kaa tamaashaa nazar aayaa
— Jigar Moradabadi
Kasrat men bhee vahdat kaa tamaashaa nazar aayaa
Jis rang men dekhaa tujhe yaktaa nazar aayaa
Jab us rukh-e-pur-noor kaa jalva nazar aayaa
Ka.aba nazar aayaa na kaleesaa nazar aayaa
Ye husn ye shokhee ye karishma ye adaa.en
Dunya nazar aa.ee mujhe to kya nazar aayaa
Ik sarkhushi-e-ishq hai ik be-khudee-e-shauq
Aankhon ko khuda jaane miree kya nazar aayaa
Jab dekh na sakte the to Dariya bhee thaa qatra
Jab aankh khulee qatra bhee Dariya nazar aayaa
Qurbaan tiree shaan-e-inaayat ke dil o jaan
Is kam-nigahee par mujhe kya kya nazar aayaa
Har rang tire rang men Duubaa huaa niklaa
Har naqsh tiraa naqsh-e-kaf-e-paa nazar aayaa
Aankhon ne dikhaa dee jo tire gham kee haqeeqat
Aalam mujhe sara tah-o-baalaa nazar aayaa
Har jalve ko dekhaa tire jalvon se munavvar
Har bazm men too anjuman-aaraa nazar aayaa