kuch is adaa se aaj wo pahluu nashiin rahe

Jigar Moradabadi

Kuch is adaa se aaj wo pahloo-nasheen rahe Jab tak hamaare paas rahe ham nahin rahe Eemaan-o-kufr aur na dunya-o-deen rahe Ai ishq-e-shaad-baash ki tanhaa hameen rahe Aalam jab ek haal pe qaa.em nahin rahe Kya khaak aitbaar-e-nigaah-e-yaqeen rahe Meree zabaan pe shikva-e-dard-aafreen rahe Shaayad mire havaas Thikaane nahin rahe Jab tak ilaahee jism men jaan-e-hazeen rahe Nazren miree javaan rahen dil haseen rahe Yaa-rab kisee ke raaz-e-mohabbat kee khair ho Dast-e-junoon rahe na rahe aasteen rahe Taa-chand josh-e-ishq men dil kee hifaazaten Meree balaa se ab wo junoonee kaheen rahe Jaa aur koi zabt kee dunya talaash kar Ai ishq ham to ab tire qaabil nahin rahe Mujh ko nahin qubool do-aalam kee vus.aten Qismat men koo-e-yaar kee do-gaz zameen rahe Ai ishq-e-naalaa-kash tiree ghairat ko kya huaa Hai hai araq araq wo tan-e-naazneen rahe Dard-o-gham-e-firaaq ke ye sakht marhale Hairaan hoon main ki phir bhee tum itne haseen rahe Allaah-re chashm-e-yaar kee mojiz-bayaaniyaan Har ik ko hai gumaan ki mukhaatib hameen rahe Zaalim uThaa too parda-e-vahm-o-gumaan-o-fikr Kya saamne wo marhala-haa-e-yaqeen rahe Zaat-o-sifaat-e-husn kaa aalam nazar men hai Mahdood-e-sajda kya miraa zauq-e-jabeen rahe Kis dard se kisee ne kahaa aaj bazm men Achchhaa ye hai wo nang-e-mohabbat yaheen rahe Sar-daadgaan-e-ishq-o-mohabbat kee kya kamee Qaatil kee tegh tez khuda kee zameen rahe Is ishq kee talaafi-e-maafaat dekhnaa Rone kee hasraten hain jab aansoo nahin rahe