kya baraabar kaa mohabbat men asar hota hai

Jigar Moradabadi

Kya baraabar kaa mohabbat men asar hota hai Dil idhar hota hai zaalim na udhar hota hai Ham ne kya Kuch na kiyaa deeda-e-dil kee khaatir Log kahte hain duaaon men asar hota hai Dil to yuun dil se milaayaa ki na rakkhaa meraa Ab nazar ke liye kya hukm-e-nazar hota hai Main gunahgaar-e-junoon main ne ye maanaa lekin Kuch udhar se bhee taqaazaa-e-nazar hota hai Kaun dekhe use betaab-e-mohabbat ai dil Too wo naale hee na kar jin men asar hota hai