laakhon men intikhaab ke qaabil banaa diyaa

Jigar Moradabadi

Laakhon men intikhaab ke qaabil banaa diyaa Jis dil ko tum ne dekh liyaa dil banaa diyaa Har-chand kar diyaa mujhe barbaad ishq ne Lekin unhen to shefta-e-dil banaa diyaa Pahle kahaan ye naaz the ye ishva o adaa Dil ko duaa.en do tumhen qaatil banaa diyaa