mohabbat men ye kya maqaam aa rahe hain
— Jigar Moradabadi
Mohabbat men ye kya maqaam aa rahe hain
Ki manzil pe hain aur chale jaa rahe hain
Ye kah kah ke ham dil ko bahlaa rahe hain
Wo ab chal chuke hain wo ab aa rahe hain
Wo az-khud hee naadim hue jaa rahe hain
Khuda jaane kya kya khayaal aa rahe hain
Hamaare hee dil se maze un ke poochho
Wo dhoke jo daanista ham khaa rahe hain
Jafaa karne vaalon ko kya ho gaya hai
Wafa kar ke bhee ham to sharmaa rahe hain
Wo aalam hai ab yaaro aghyaar kaise
Hameen apne dushman hue jaa rahe hain
Mizaaj-e-giraamee kee ho khair yaa-rab
Ka.ee din se aksar wo yaad aa rahe hain