qaht e bangaal bangaal ki main shaam o sahar dekh raha hoon

Jigar Moradabadi

Bangaal kee main shaam-o-sahar dekh raha hoon Har chand ki hoon duur magar dekh raha hoon Iflaas kee maaree huee makhlooq sar-e-raah Be-gor-o-kafan khaak-ba-sar dekh raha hoon Bachchon kaa taDapnaa wo bilaknaa wo sisaknaa Maan-baap kee maayoos nazar dekh raha hoon Insaan ke hote hue insaan kaa ye hashr Dekhaa nahin jaataa hai magar dekh raha hoon Rahmat kaa chamakne ko hai phir nayyar-e-taabaan Hone ko hai is shab kee sahar dekh raha hoon Khaamosh nigaahon men umanDte hue jazbaat Jazbaat men toofaan-e-sharar dekh raha hoon Bedaaree-e-ehsaas hai har samt numaayaan Be-taabee-e-arbaabe-e-nazar dekh raha hoon Anjaam-e-sitam ab koi dekhe ki na dekhe Main saaf un aankhon se magar dekh raha hoon Sayyaad ne luuTaa tha anaadil kaa nasheman Sayyaad kaa jalte hue ghar dekh raha hoon Ik tegh kee jumbish see nazar aatee hai mujh ko Ik haath pas-e-parda-e-dar dekh raha hoon Bangal ki main sham-o-sahar dekh raha hun Har chand ki hun dur magar dekh raha hun Iflas ki mari hui maKHluq sar-e-rah Be-gor-o-kafan KHak-ba-sar dekh raha hun Bachchon ka taDapna wo bilakna wo sisakna Man-bap ki mayus nazar dekh raha hun Insan ke hote hue insan ka ye hashr Dekha nahin jata hai magar dekh raha hun Rahmat ka chamakne ko hai phir nayyar-e-taban Hone ko hai is shab ki sahar dekh raha hun KHamosh nigahon mein umanDte hue jazbaat Jazbaat mein tufan-e-sharar dekh raha hun Bedari-e-ehsas hai har samt numayan Be-tabi-e-arbabe-e-nazar dekh raha hun Anjam-e-sitam ab koi dekhe ki na dekhe Main saf un aankhon se magar dekh raha hun Sayyaad ne luTa tha anadil ka nasheman Sayyaad ka jalte hue ghar dekh raha hun Ek tegh ki jumbish si nazar aati hai mujh ko Ek hath pas-e-parda-e-dar dekh raha hun