sabhii andaaz e husn pyaare hain
— Jigar Moradabadi
Sabhee andaaz-e-husn pyaare hain
Ham magar saadgee ke maare hain
Us kee raaton kaa intiqaam na poochh
Jis ne hans hans ke din guzaare hain
Ai sahaaron kee zindagee vaalo
Kitne insaan be-sahaare hain
Laala-o-gul se tujh ko kya nisbat
Naa-mukammal se isti.aare hain
Ham to ab Doob kar hee ubhrenge
Wo rahen shaad jo kinaare hain
Shab-e-furqat bhee jagmagaa uTThee
Ashk-e-gham hain ki maah-paare hain
Aatish-e-ishq wo jahannam hai
Jis men firdaus ke nazaare hain
Wo hameen hain ki jin ke haathon ne
Gesoo-e-zindagee sanvaare hain
Husn kee be-niyaaziyon pe na jaa
Be-ishaare bhee Kuch ishaare hain