shaaer e fitrat hoon jab bhi fikr farmaataa hoon main

Jigar Moradabadi

Shaa.er-e-fitrat hoon jab bhee fikr farmaataa hoon main Ruuh ban kar zarre zarre men samaa jaataa hoon main Aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabraataa hoon main Jaise har shai men kisee shai kee kamee paataa hoon main Jis qadar afsaana-e-hastee ko dohraataa hoon main Aur bhee be-gaana-e-hastee huaa jaataa hoon main Jab makaan-o-laa-makaan sab se guzar jaataa hoon main Allaah allaah tujh ko khud apnee jagah paataa hoon main Teree soorat kaa jo aa.eena use paataa hoon main Apne dil par aap kya kya naaz farmaataa hoon main Yak-ba-yak ghabraa ke jitnee duur haT aataa hoon main Aur bhee us shokh ko nazdeek-tar paataa hoon main Meree hastee shauq-e-paiham meree fitrat iztiraab Koi manzil ho magar guzraa chalaa jaataa hoon main Haa.e-ree majbooriyaan tark-e-mohabbat ke liye Mujh ko samjhaate hain wo aur un ko samjhaataa hoon main Meree himmat dekhnaa meree tabee.at dekhnaa Jo sulajh jaatee hai gutthee phir se uljhaataa hoon main Husn ko kya dushmanee hai ishq ko kya bair hai Apne hee qadmon kee khud hee Thokaren khaataa hoon main Teree mahfil tere jalve phir taqaazaa kya zaroor Le uThaa jaataa hoon zaalim le chalaa jaataa hoon main Taa-kujaa ye parda-daaree-ha-e-ishq-o-laaf-e-husn Haan sambhal jaa.en do-aalam hosh men aataa hoon main Meree khaatir ab wo takleef-e-tajalli kyuun karen Apnee gard-e-shauq men khud hee chhupaa jaataa hoon main Dil mujassam sher-o-naghma wo saraapaa rang-o-boo Kya fazaa.en hain ki jin men hal huaa jaataa hoon main Taa-kujaa zabt-e-mohabbat taa-kujaa dard-e-firaaq Rahm kar mujh par ki teraa raaz kahlaataa hoon main Vaah-re shauq-e-shahaadat koo-e-qaatil kee taraf Gungunaataa raqs kartaa jhoomtaa jaataa hoon main Yaa wo soorat khud jahaan-e-rang-o-boo mahkoom thaa Yaa ye aalam apne saa.e se dabaa jaataa hoon main Dekhnaa is ishq kee ye turfa-kaaree dekhnaa Wo jafaa karte hain mujh par aur sharmaataa hoon main Ek dil hai aur toofaan-e-havaadis ai 'jigar' Ek sheesha hai ki har patthar se Takraataa hoon main