shab e firaaq hai aur niind aaii jaatii hai
— Jigar Moradabadi
Shab-e-firaaq hai aur niind aa.ee jaatee hai
Kuch is men un kee tavajjoh bhee paa.ee jaatee hai
Ye umr-e-ishq yoonhee kya ganvaa.ee jaatee hai
Hayaat zinda haqeeqat banaa.ee jaatee hai
Banaa banaa ke jo Dunya miTaa.ee jaatee hai
Zaroor koee kamee hai ki paa.ee jaatee hai
Hameen pe ishq kee tohmat lagaa.ee jaatee hai
Magar ye sharm jo chehre pe chhaa.ee jaatee hai
Khuda kare ki haqeeqat men zindagee ban jaa.e
Wo zindagee jo zabaan tak hee paa.ee jaatee hai
Gunaahgaar ke dil se na bach ke chal zaahid
Yaheen kaheen tiree jannat bhee paa.ee jaatee hai
Na soz-e-ishq na barq-e-jamaal par ilzaam
Dilon men aag khushee se lagaa.ee jaatee hai
Kuch aise bhee to hain rindaan-e-paak-baaz 'jigar'
Ki jin ko be-mai-o-saaghar pilaa.ee jaatee hai