shikast e tauba
— Jigar Moradabadi
Saaqee kee har nigaah pe bal khaa ke pee gaya
Lahron se kheltaa huaa lahraa ke pee gaya
Be-kaifiyon ke kaif se ghabraa ke pee gaya
Tauba ko tod-taaD ke tharraa ke pee gaya
Zaahid! ye teree shokhee-e-rindaana dekhnaa
Rahmat ko baaton baaton men bahlaa ke pee gaya
Sar-mastee-e-azal mujhe jab yaad aa ga.ee
Duniyaa-e-aitbaar ko Thukraa ke pee gaya
Aazurdagee-e-khaatir-e-saaqee ko dekh kar
Mujh ko ye sharm aa.ee ki sharmaa ke pee gaya
Ai rahmat-e-tamaam miree har khataa muaaf
Main intihaa-e-shauq men ghabraa ke pee gaya
Piitaa baghair izn ye kab thee miree majaal
Dar-parda chashm-e-yaar kee shah paa ke pee gaya
Us jaan-e-mai-kada kee qasam baarhaa 'jigar'
Kul aalam-e-baseet pe main chhaa ke pee gaya
Saqi ki har nigah pe bal kha ke pi gaya
Lahron se khelta hua lahra ke pi gaya
Be-kaifiyon ke kaif se ghabra ke pi gaya
Tauba ko tod-taD ke tharra ke pi gaya
Zahid! ye teri shoKHi-e-rindana dekhna
Rahmat ko baaton baaton mein bahla ke pi gaya
Sar-masti-e-azal mujhe jab yaad aa gai
Duniya-e-e'tibar ko Thukra ke pi gaya
Aazurdagi-e-KHatir-e-saqi ko dekh kar
Mujh ko ye sharm aai ki sharma ke pi gaya
Ai rahmat-e-tamam meri har KHata muaf
Main intiha-e-shauq mein ghabra ke pi gaya
Pita baghair izn ye kab thi meri majal
Dar-parda chashm-e-yar ki shah pa ke pi gaya
Us jaan-e-mai-kada ki qasam barha 'jigar'
Kul aalam-e-basit pe main chha ke pi gaya