tabiiat in dinon begaana e gam hotii jaatii hai
— Jigar Moradabadi
Tabee'at in dinon begaana-e-gham hotee jaatee hai
Mire hisse kee goyaa har khushee kam hotee jaatee hai
Sahar hone ko hai bedaar shabnam hotee jaatee hai
Khushee minjumla-o-asbaab-e-maatam hotee jaatee hai
Qayaamat kya ye ai husn-e-do-'aalam hotee jaatee hai
Ki mahfil to vahee hai dil-kashee kam hotee jaatee hai
Vahee mai-khaana-o-sahbaa vahee saaghar vahee sheesha
Magar awaaz-e-noshaa-nosh maddham hotee jaatee hai
Vahee hain shaahid-o-saaqee magar dil bujhtaa jaataa hai
Vahee hai sham' lekin raushnee kam hotee jaatee hai
Vahee shorish hai lekin jaise mauj-e-tah-nasheen koee
Vahee dil hai magar awaaz maddham hotee jaatee hai
Vahee hai zindagee lekin 'jigar' ye haal hai apna
Ki jaise zindagee se zindagee kam hotee jaatee hai