tasviir o tasavvur
— Jigar Moradabadi
Wo kab ke aa.e bhee aur ga.e bhee nazar men ab tak samaa rahe hain
Ye chal rahe hain, wo phir rahe hain, ye aa rahe hain wo jaa rahe hain
Vahee qayaamat hai qadd-e-baalaa vahee hai soorat, vahee saraapaa
Labon ko jumbish, nigah ko larzish, khaDe hain aur muskuraa rahe hain
Vahee lataafat, vahee nazaakat, vahee tabassum, vahee tarannum
Main naqsh-e-hirmaan banaa huaa tha wo naqsh-e-hairat banaa rahe hain
Khiraam rangeen, nizaam rangeen, kalaam rangeen, payaam rangeen
Qadam qadam par, ravish ravish par na.e na.e gul khilaa rahe hain
Shabaab rangeen, jamaal rangeen, wo sar se paa tak tamaam rangeen
Tamaam rangeen bane hue hain, tamaam rangeen banaa rahe hain
Tamaam ra.anaa.iyon ke maz.har, tamaam rangeeniyon ke manzar
Sambhal sambhal kar simaT simaT kar sab ek markaz par aa rahe hain
Bahaar-e-rang-o-shabaab hee kya sitaara o maahtaab hee kya
Tamaam hastee jhukee huee hai, jidhar wo nazren jhukaa rahe hain
Tuyoor sarshaar-e-saaghar-e-mul halaak-e-tanveer-e-laala-o-gul
Sab apnee apnee dhunon men mil kar ajab ajab giit gaa rahe hain
Sharaab aa.ankhon se Dhal rahi hai, nazar se mastee ubal rahi hai
Chhalak rahi hai uchhal rahi hai, piye hue hain pilaa rahe hain
Khud apne nashshe men jhoomte hain, wo apna munh aap choomte hain
Kharaab-e-mastee bane hue hain, halaak-e-mastee banaa rahe hain
Fazaa se nashsha baras raha hai, dimaagh phoolon men bas raha hai
Vo kaun hai jo taras raha hai? sabhee ko mai-kash pilaa rahe hain
Zameen nashsha, zamaan nashsha, jahaan nashsha, makaan nashsha
Makaan kya? laa-makaan nashsha, Dubo rahe hain pilaa rahe hain
Vo roo-e-rangeen o mauja-e-yam ki jaise daamaan-e-gul pe shabnam
Ye garmee-e-husn kaa hai aalam, araq araq men nahaa rahe hain
Ye mast bulbul bahak rahe hain, qareeb-e-aariz chahak rahe hai
Gulon kee chhaatee dhaDak rahi hai, wo dast-e-rangeen baDhaa rahe hain
Ye mauj-o-Dariya, ye reg-o-sahraa ye ghuncha-o-gul, ye maah-o-anjum
Zaraa jo wo muskuraa diye hain wo sab ke sab muskuraa rahe hain
Fazaa ye naghmon se bhar ga.ee hai ki mauj-e-Dariya Thahar ga.ee hai
Sukoot-e-naghma banaa huaa hai, wo jaise kuch gungunaa rahe hain
Ab aage jo kuch bhee ho muqaddar, rahegaa lekin ye naqsh dil par
Ham un kaa daaman pakaD rahe hain, wo apna daaman chhuDaa rahe hain
Ye ashk jo bah rahe hain paiham, agarche sab hain ye haasil-e-gham
Magar ye ma.aloom ho raha hai, ki ye bhee kuch muskuraa rahe hain
Zaraa jo dam bhar ko aankh jhapkee, ye dekhtaa hoon na.ee tajallee
Tilism soorat miTaa rahe hain, jamaal ma.anee banaa rahe hain
Khushee se labrez shash-jihat hai, zabaan par shor-e-tahniyat hai
Ye waqt wo hai 'jigar' ke dil ko wo apne dil se milaa rahe hain
Wo kab ke aae bhi aur gae bhi nazar mein ab tak sama rahe hain
Ye chal rahe hain, wo phir rahe hain, ye aa rahe hain wo ja rahe hain
Wahi qayamat hai qadd-e-baala wahi hai surat, wahi sarapa
Labon ko jumbish, nigah ko larzish, khaDe hain aur muskura rahe hain
Wahi latafat, wahi nazakat, wahi tabassum, wahi tarannum
Main naqsh-e-hirman bana hua tha wo naqsh-e-hairat bana rahe hain
KHiram rangin, nizam rangin, kalam rangin, payam rangin
Qadam qadam par, rawish rawish par nae nae gul khila rahe hain
Shabab rangin, jamal rangin, wo sar se pa tak tamam rangin
Tamam rangin bane hue hain, tamam rangin bana rahe hain
Tamam ranaiyon ke mazhar, tamam ranginiyon ke manzar
Sambhal sambhal kar simaT simaT kar sab ek markaz par aa rahe hain
Bahaar-e-rang-o-shabab hi kya sitara o mahtab hi kya
Tamam hasti jhuki hui hai, jidhar wo nazren jhuka rahe hain
Tuyur sarshaar-e-saghar-e-mul halak-e-tanwir-e-lala-o-gul
Sab apni apni dhunon mein mil kar ajab ajab git ga rahe hain
Sharab aaankhon se Dhal rahi hai, nazar se masti ubal rahi hai
Chhalak rahi hai uchhal rahi hai, piye hue hain pila rahe hain
KHud apne nashshe mein jhumte hain, wo apna munh aap chumte hain
KHarab-e-masti bane hue hain, halak-e-masti bana rahe hain
Faza se nashsha baras raha hai, dimagh phulon mein bas raha hai
Wo kaun hai jo taras raha hai? sabhi ko mai-kash pila rahe hain
Zamin nashsha, zaman nashsha, jahan nashsha, makan nashsha
Makan kya? la-makan nashsha, Dubo rahe hain pila rahe hain
Wo ru-e-rangin o mauja-e-yam ki jaise daman-e-gul pe shabnam
Ye garmi-e-husn ka hai aalam, araq araq mein naha rahe hain
Ye mast bulbul bahak rahe hain, qarib-e-ariz chahak rahe hai
Gulon ki chhati dhaDak rahi hai, wo dast-e-rangin baDha rahe hain
Ye mauj-o-dariya, ye reg-o-sahra ye ghuncha-o-gul, ye mah-o-anjum
Zara jo wo muskura diye hain wo sab ke sab muskura rahe hain
Faza ye naghmon se bhar gai hai ki mauj-e-dariya Thahar gai hai
Sukut-e-naghma bana hua hai, wo jaise kuch gunguna rahe hain
Ab aage jo kuch bhi ho muqaddar, rahega lekin ye naqsh dil par
Hum un ka daman pakaD rahe hain, wo apna daman chhuDa rahe hain
Ye ashk jo bah rahe hain paiham, agarche sab hain ye hasil-e-gham
Magar ye malum ho raha hai, ki ye bhi kuch muskura rahe hain
Zara jo dam bhar ko aankh jhapki, ye dekhta hun nai tajalli
Tilism surat miTa rahe hain, jamal mani bana rahe hain
KHushi se labrez shash-jihat hai, zaban par shor-e-tahniyat hai
Ye waqt wo hai 'jigar' ke dil ko wo apne dil se mila rahe hain