wo adaa e dilbarii ho ki navaa e aashiqaana
— Jigar Moradabadi
Wo adaa-e-dilbaree ho ki navaa-e-aashiqaana
Jo dilon ko fat.h kar le vahee faateh-e-zamaana
Kabhi husn kee tabee.at na badal sakaa zamaana
Vahee naaz-e-be-niyaazee vahee shaan-e-khusravaana
Ye tiraa jamaal-e-kaamil ye shabaab kaa zamaana
Dil-e-dushmanaan salaamat dil-e-dostaan nishaana
Ye falak ye maah-o-anjum ye zameen ye zamaana
Tire husn kee hikaayat mire ishq kaa fasaana
Ye hai ishq kee karaamat ye kamaal-e-shaa.iraana
Abhee munh se baat niklee abhee ho ga.ee fasaana
Ye miraa payaam kahnaa too sabaa muaddabaana
Ki guzar gaya hai pyaare tujhe dekhe ik zamaana
Mujhe chaak-e-jeb-o-daaman se nahin munaasibat Kuch
Ye junoon hee ko mubaarak rah-o-rasm-e-aamiyaana
Tujhe haadsaat-e-paiham se bhee kya milegaa naadaan
Tiraa dil agar ho zinda to nafas bhee taaziyaana
Main hoon us maqaam par ab ki firaaq o vasl kaise
Miraa ishq bhee kahaanee tiraa husn bhee fasaana
Miree zindagee to guzree tire hijr ke sahaare
Miree maut ko bhee pyaare koi chaahiye bahaana
Tire ishq kee karaamat ye agar nahin to kya hai
Kabhi be-adab na guzraa mire paas se zamaana
Tiree duuree o huzooree kaa ye hai ajiib aalam
Abhee zindagee haqeeqat abhee zindagee fasaana
Mire ham-safeer bulbul miraa teraa saath hee kya
Main zameer-e-dasht-o-Dariya too aseer-e-aashiyaana
Main wo saaf hee na kah duun jo hai farq mujh men tujh men
Tiraa dard dard-e-tanhaa miraa gham gham-e-zamaana
Tire dil ke TooTne par hai kisee ko naaz kya kya
Tujhe ai 'jigar' mubaarak ye shikast-e-faatehaana