yaadash ba khair jab wo tasavvur men aa gaya
— Jigar Moradabadi
Yaadash-ba-khair jab wo tasavvur men aa gaya
Sher o shabaab o husn kaa Dariya bahaa gaya
Jab ishq apne markaz-e-aslee pe aa gaya
Khud ban gaya haseen do aalam pe chhaa gaya
Jo dil kaa raaz thaa use Kuch dil hee paa gaya
Wo kar sake bayaan na hameen se kahaa gaya
Naaseh fasaana apna hansee men uDaa gaya
Khush-fikr thaa ki saaf ye pahloo bachaa gaya
Apna zamaana aap banaate hain ahl-e-dil
Ham wo naheen ki jin ko zamaana banaa gaya
Dil ban gaya nigaah nigah ban ga.ee zabaan
Aaj ik sukoot-e-shauq qayaamat hee Dhaa gaya
Meraa kamaal-e-sher bas itnaa hai ai 'jigar'
Wo mujh pe chhaa ga.e main zamaane pe chhaa gaya