ye hai mai kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqii imaam hai
— Jigar Moradabadi
Ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqee imaam hai
Ye haram naheen hai ai shaikh jee yahaan paarsaa.ee haraam hai
Jo zaraa see pee ke bahak gaya use mai-kade se nikaal do
Yahaan tang-nazar kaa guzar naheen yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai
Koee mast hai koee tishna-lab to kisee ke haath men jaam hai
Magar is pe koee kare bhee kya ye to mai-kade kaa nizaam hai
Ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajeeb saare jahaan se
Jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai
Tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-deed pa rahm khaa
Zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai
Na sunnaa to huur o qusoor kee ye hikaayaten mujhe vaa'izaa
Koee baat kar dar-e-yaar kee dar-e-yaar hee se to kaam hai
Na to e'tikaaf se Kuch gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta
Tiree diid aisee namaaz hai na sujood hai na qayaam hai
Ye durust ki 'aib hai mai-kashee ye ba-jaa ki baada haraam hai
Magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath men jaam hai
Jo uThee to sub.h-e-davaam thee jo jhukee to shaam hee shaam thee
Tiree chashm-e-mast men saaqiyaa miree zindagee kaa nizaam hai
Miraa farz hai ki paDaa rahoon tiree baargaah men saaqiyaa
Koee tishna-lab hai ki sair hai yahee dekhnaa tiraa kaam hai
Isee kaa.enaat men ai 'jigar' koee inqalaab uThegaa phir
Ki buland ho ke bhee aadmee abhee khvaahishon kaa ghulaam hai