ye misraa kaash naqsh e har dar o diivaar ho jaae
— Jigar Moradabadi
Ye misra.a kaash naqsh-e-har-dar-o-deevaar ho jaa.e
Jise jiinaa ho marne ke liye tayyaar ho jaa.e
Vahee mai-khvaar hai jo is tarah mai-khvaar ho jaa.e
Ki sheesha toD de aur be-piye sarshaar ho jaa.e
Dil-e-insaan agar shaa.ista-e-asraar ho jaa.e
Lab-e-khaamosh-fitrat hee lab-e-guftaar ho jaa.e
Har ik be-kaar see hastee ba-roo-e-kaar ho jaa.e
Junoon kee rooh-e-khvaabeeda agar bedaar ho jaa.e
Sunaa hai hashr men har aankh use be-parda dekhegee
Mujhe Dar hai na tauheen-e-jamaal-e-yaar ho jaa.e
Hareem-e-naaz men us kee rasaa.ee ho to kyoonkar ho
Ki jo aasooda zer-e-saaya-e-deevaar ho jaa.e
Ma.aaz-allaah us kee vaardaat-e-gham ma.aaz-allaah
Chaman jis kaa vatan ho aur chaman-be-zaar ho jaa.e
Yahee hai zindagee to zindagee se khud-kushee achchhee
Ki insaan aalam-e-insaaniyat par baar ho jaa.e
Ik aisee shaan paidaa kar ki baatil thartharaa uTThe
Nazar talvaar ban jaa.e nafas jhankaar ho jaa.e
Ye roz o shab ye sub.h o shaam ye bastee ye veeraana
Sabhee bedaar hain insaan agar bedaar ho jaa.e