aa fasl e gul hai garq e tamannaa tire liye
— Josh Malihabadi
Aa fasl-e-gul hai gharq-e-tamannaa tire liye
Duubaa huaa hai rang men sahraa tire liye
Saahil pe sarv-e-naaz ko de zahmat-e-khiraam
Bal khaa raha hai khaak pe Dariya tire liye
Eefaa-e-ahd kar ki hai muddat se be-qaraar
Rooh-e-wafa-e-waada-e-fardaa tire liye
Shaanon pe ab to kaakul-e-shab-rang khol de
Bikhree huee hai zulf-e-tamannaa tire liye
UTh chashm-e-jaavedaana-e-saaghar-farosh uTh
Machlee huee hai larzish-e-sahbaa tire liye
Ai aaftaab-e-jalva-e-jaanaan buland ho
Khoyaa huaa hai matla-e-Dunya tire liye
Mauj-e-shameem-e-sumbul-o-raihaan ke darmiyaan
Vaa hai musaahibat kaa dareechaa tire liye
Aa aur daad de ki ba.iin chahsm-e-haq-nigar
Khaa.e hue hoon ziist kaa dhokaa tire liye
Sabze kaa farsh abr kaa khema gulon kaa itr
Gulshan men ehtimaam hai kya kya tire liye
Tughyaan-e-gul shabaab pe bulbul kharosh men
Ik hashr saa hai baagh men barpaa tire liye
'josh' aur nang-e-khidmat-e-sultaan o paas-e-hosh
Ye bhee kiye hue hai gavaaraa tire liye