aazaada manish rah Dunya men parvaa e ummiid o biim na kar
— Josh Malihabadi
Aazaada-manish rah Dunya men parvaa-e-ummeed-o-beem na kar
Jab tak na milen fitrat ke qadam kham dekh sar-e-tasleem na kar
Siine men hai us ke soz agar shaitaan ke qadam le aankhon par
Begaana-e-dard-e-dil hai agar jibreel kee bhee taazeem na kar
Kitnee hee shuaa.en abr men hon khursheed-e-junoon par eemaan laa
Kitne hee dalaa.el raushan hon daanish ko kabhee tasleem na kar
Saanchon men baraabar Dhaltaa jaa raftaar-e-jahaan se pher na munh
Tanseekh to kya is daftar men jiinaa hai to Kuch tarmeem na kar
Ai 'josh' hujoom-e-kulfat men fariyaad o fughaan se kaam na le
GhaT jaa.egaa is se dil kaa asar ajzaa-e-tapish taqseem na kar