ab kya karoon
— Josh Malihabadi
Chhaa ga.ee barsaat kee pahlee ghaTaa ab kya karoon
Khauf tha jis kaa wo aa pahunchee balaa ab kya karoon
Hijr ko bahlaa chalee thee garm mausam kee sumoom
Naa-gahaan chalne lagee ThanDee havaa ab kya karoon
Aankh uThee hee thee ki abr-e-laala-goon kee Chaaon men
Dard se kahne lagaa kuch jhuTpuTaa ab kya karoon
Ashk abhee thamne na paa.e the ki bedardee ke saath
Boondiyon se bostaan bajne lagaa ab kya karoon
Zakhm ab bharne na paa.e the ki baadal charkh par
Aa gaya angDaa.iyaan letaa huaa ab kya karoon
Aa chukee thee niind see gham ko ki mausam naa-gahaan
Bahr-o-bar men karvaTen lene lagaa ab kya karoon
Charkh kee be-rangiyon se sust thee raftaar-e-gham
Yak-ba-yak har zarra gulshan ban gaya ab kya karoon
Qufl-e-baab-e-shauq thiin maahaul kee khaamoshiyaan
Daf.atan kaafir papeehaa bol uThaa ab kya karoon
Hijr kaa siine men kuch kam ho chalaa tha pech-o-taab
Baal bikhraane lagee kaalee ghaTaa ab kya karoon
Aankh jhapkaane lagee thee dil men yaad-e-lahn-e-yaad
Mor kee aane lagee ban se sadaa ab kya karoon
GhaT chalaa tha gham kee rangeen badliyon kee aaD se
Un kaa chehra saamne aane lagaa ab kya karoon
Aa rahi hain abr se un kee sadaa.en 'josh' 'josh'
Ai khuda ab kya karoon baar-e-khuda ab kya karoon
Chha gai barsat ki pahli ghaTa ab kya karun
KHauf tha jis ka wo aa pahunchi bala ab kya karun
Hijr ko bahla chali thi garm mausam ki sumum
Na-gahan chalne lagi ThanDi hawa ab kya karun
Aankh uThi hi thi ki abr-e-lala-gun ki chhanw mein
Dard se kahne laga kuch jhuTpuTa ab kya karun
Ashk abhi thamne na pae the ki bedardi ke sath
Bundiyon se bostan bajne laga ab kya karun
ZaKHm ab bharne na pae the ki baadal charKH par
Aa gaya angDaiyan leta hua ab kya karun
Aa chuki thi nind si gham ko ki mausam na-gahan
Bahr-o-bar mein karwaTen lene laga ab kya karun
CharKH ki be-rangiyon se sust thi raftar-e-gham
Yak-ba-yak har zarra gulshan ban gaya ab kya karun
Qufl-e-bab-e-shauq thin mahaul ki KHamoshiyan
Dafatan kafir papiha bol uTha ab kya karun
Hijr ka sine mein kuch kam ho chala tha pech-o-tab
Baal bikhrane lagi kali ghaTa ab kya karun
Aankh jhapkane lagi thi dil mein yaad-e-lahn-e-yaad
Mor ki aane lagi ban se sada ab kya karun
GhaT chala tha gham ki rangin badliyon ki aaD se
Un ka chehra samne aane laga ab kya karun
Aa rahi hain abr se un ki sadaen 'josh' 'josh'
Ai KHuda ab kya karun bar-e-KHuda ab kya karun