ai ba rukh mushaf e gulzaar o charaag e haram e gunchagii o aaya e gul baarii o quraan e bahaar
— Josh Malihabadi
Ai ba-rukh mus.haf-e-gulzaar-o-charaagh-e-haram-e-ghunchagee-o-aaya-e-gul-baaree-o-qur.aan-e-bahaar
Ai ba-qad mauj-e-ravaan barq-e-tapaan sarv-e-sahee shaakh-e-gul-e-taaza-o-ilhaam-e-khiraamaan-e-bahaar
Pa.e gul-gasht zaraa us qad-e-balaa-e-falak-taab-o-chaman-saaz ko de izn-e-khiraam
Ki tire hijr men be-kaif hai be-rooh hai be-taab hai be-khvaab hai lailaa-e-khayabaan-e-bahaar
Bazm kee bazm hai pazhmurda-o-afsurda-o-dil-basta-o-khaamosh-o-malool-o-ghamnaak
Khol de kaakul-e-zholeeda-o-shab-rang-o-jahaan-said-o-guhar-bez ki hai chashma-e-haivaan-e-bahaar
Aa bhee jumbish men ki hain gosh-bar-awaaz adeebaan-o-hareefaan-o-gul-o-laala-o-sarv
Ai lab-e-laal-e-fusoon-baar-o-dil-aavez shakar-rez ki hai tujh pe fidaa larzish-e-daamaan-e-bahaar
Barbat-o-ood-o-sharaab-o-daf-o-afsaana-o-afsoon-o-shab-e-maah-o-rabaab-o-saaghar
Aa ki mushtaaq hain ai jaan-e-chaman zohra-jabeen hosh-rubaa maah-laqaa sham-e-shabistaan-e-bahaar
Dahr hai khufta-o-aashufta-o-aazurda-o-gham-deeda-o-naashaad-o-zaboon-haal-o-tabaah
Haan uThaa nargis-e-makhmoor-o-guhar-taab-o-junoon-khez ki hai mahbas-e-mai-khaana-o-zindaan-e-bahaar
Aaj hai 'haafiz-e-'sheeraazee'-o-'khayyaam'-o-'nazeeree'-o-'fughaanee'-o-'zuhooree' kaa javaab
Ye tiraa 'josh' ki hai mast-o-kharaabaatee-o-sar-halqa-e-rindaan-e-jahaan qibla-e-khaasaan-e-bahaar