badlii kaa chaand
— Josh Malihabadi
Khursheed wo dekho Doob gaya zulmat kaa nishaan lahraane lagaa
Mahtaab wo halke baadal se chaandee ke varaq barsaane lagaa
Vo saanvle-pan par maidaan ke halkee see sabaahat dauD chalee
ThoDaa saa ubhar kar baadal se wo chaand jabeen jhalkaane lagaa
Lo phir wo ghaTaa.en chaak huiin zulmat kaa qadam tharraane lagaa
Baadal men chhupaa to khol diye baadal men dareeche hiire ke
Gardoon pe jo aayaa to gardoon Dariya kee tarah lahraane lagaa
SimTee jo ghaTaa taareekee men chaandee ke safeene le ke chalaa
Sankee jo havaa to baadal ke girdaab men ghote khaane lagaa
Ghurfon se jo jhaankaa gardoon ke amvaaj kee nabzen tez huiin
Halqon men jo dauDaa baadal ke kohsaar kaa sar chakraane lagaa
Parda jo uThaayaa baadal kaa Dariya pe tabassum dauD gaya
Chilman jo giraa.ee badlee kee maidaan kaa dil ghabraane lagaa
Ubhraa to tajallee dauD ga.ee Duubaa to falak be-noor huaa
Uljhaa to siyaahi dauDaa dee suljhaa to ziyaa barsaane lage
Kyaa kaavish-e-noor-o-zulmat hai kya qaid hai kya aazaadee hai
Insaan kee taDaptee fitrat kaa mafhoom samajh men aane lagaa
KHurshid wo dekho Dub gaya zulmat ka nishan lahrane laga
Mahtab wo halke baadal se chandi ke waraq barsane laga
Wo sanwle-pan par maidan ke halki si sabahat dauD chali
ThoDa sa ubhar kar baadal se wo chand jabin jhalkane laga
Lo phir wo ghaTaen chaak huin zulmat ka qadam tharrane laga
Baadal mein chhupa to khol diye baadal mein dariche hire ke
Gardun pe jo aaya to gardun dariya ki tarah lahrane laga
SimTi jo ghaTa tariki mein chandi ke safine le ke chala
Sanki jo hawa to baadal ke girdab mein ghote khane laga
Ghurfon se jo jhanka gardun ke amwaj ki nabzen tez huin
Halqon mein jo dauDa baadal ke kohsar ka sar chakrane laga
Parda jo uThaya baadal ka dariya pe tabassum dauD gaya
Chilman jo girai badli ki maidan ka dil ghabrane laga
Ubhra to tajalli dauD gai Duba to falak be-nur hua
Uljha to siyahi dauDa di suljha to ziya barsane lage
Kya kawish-e-nur-o-zulmat hai kya qaid hai kya aazadi hai
Insan ki taDapti fitrat ka mafhum samajh mein aane laga