behoshiyon ne aur khabardaar kar diyaa
— Josh Malihabadi
Behoshiyon ne aur khabardaar kar diyaa
Soee jo aql ruuh ne bedaar kar diyaa
Allaah re husn-e-dost kee aa.eena-daariyaan
Ahl-e-nazar ko naqsh-ba-deevaar kar diyaa
Yaa rab ye bhed kya hai ki raahat kee fikr ne
Insaan ko aur gham men giraftaar kar diyaa
Dil Kuch panap chalaa thaa taghaaful kee rasm se
Phir tere iltifaat ne beemaar kar diyaa
Kal un ke aage sharah-e-tamannaa kee aarzoo
Itnee baDhee ki nutq ko bekaar kar diyaa
Mujh ko wo bakhshte the do aalam kee nematen
Mere ghuroor-e-ishq ne inkaar kar diyaa
Ye dekh kar ki un ko hai rangeeniyon kaa shauq
Aankhon ko ham ne deeda-e-khoon-baar kar diyaa