dil e aazaada rau men wo tamannaa thii bayaabaan ki
— Josh Malihabadi
Dil-e-aazaada-rau men wo tamannaa thee bayaabaan kee
Qadam rakhte hee shaq hone lagee deevaar zindaan kee
Khuda kee rahmaten ai mutrib-e-rangeen-navaa tujh par
Ki har kaanTe men too ne ruuh dauDaa dee gulistaan kee
Ye saabit kar diyaa tujh ko banaa kar dast-e-qudrat ne
Ki ho saktee hain itnee khoobiyaan soorat men insaan kee
Naseem-e-sub.h ThanDee saans bhartee hai mazaaron par
Udaasee munh-andhere dekhiye gor-e-ghareebaan kee
Ye aalam kya hai ik majmooa hai naacheez zarron kaa
Ye Dunya kya hai ik tarkeeb ajzaa-e-pareshaan kee
Havaaon ke wo jhonke wo khule maidaan kee sardee
Wo lahren chaand se rukhsaar par zulf-e-pareshaan kee
Hamaaree zindagee kya silsila ik dil dhaDakne kaa
Hamaaree maut kya jumbish hai ik jazbaat-e-pinhaan kee
Banaa dengee yaqeen hai 'josh' mard-e-baa-khuda ik din
Tapish-andoziyaan siine men barq-e-soz-e-pinhaan kee