dosto vaqt hai phir zakhm e jigar taaza karen
— Josh Malihabadi
Dosto vaqt hai phir zakhm-e-jigar taaza karen
Parda jumbish men hai phir aao nazar taaza karen
Taa-kujaa naala-e-ghurbat ki chalee baad-e-shimaal
Dil men phir zamzama-e-azm-e-safar taaza karen
Aao phir dhuum se ho aaj ghuroob aur tuloo
Sunnat-e-bandagi-e-shams-o-qamar taaza karen
Aao chal kar rukh-e-naa-shusta ko dekhen dam-e-sub.h
Mauj-e-rang-e-ufuq o noor-e-sahar taaza karen
Kulah-e-faqr ko kaj kar ke sar-e-bazm-e-nashaat
Aao rasm-e-kohn-e-taaj-o-kamar taaza karen
Aao phir jalva-e-jaanaan pe luTaa den kaunain
Shughl-e-paareena-e-arbaab-e-nazar taaza karen
Tabaq-e-zar men lagaa kar pa-e-nazar-e-jaanaan
Aao phir aabroo-e-laal-o-guhar taaza karen
Aao phir 'josh' ko de kar laqab-e-shaah-e-sukhan
Dil-o-deen-e-sukhan o jaan-e-hunar taaza karen