east india company ke farzandon se khitaab
— Josh Malihabadi
Kis zabaan se kah rahe ho aaj tum saudaagaro
Dahr men insaaniyat ke naam ko oonchaa karo
Jis ko sab kahte hain hitler bheDiyaa hai bheDiyaa
BheDiye ko maar do golee pa.e-amn-o-baqaa
Baagh-e-insaanee men chalne hee pe hai baad-e-khizaan
Aadamiyyat le rahi hai hichkiyon par hichkiyaan
Haath hai hitler kaa rakhsh-e-khud-saree kee baag par
Tegh kaa paanee chhiDak do germany kee aag par
Sakht hairaan hoon ki mahfil men tumhaaree aur ye zikr
Nau-e-insaanee ke mustaqbil kee ab karte ho fikr
Jab yahaan aa.e the tum saudaagaree ke vaaste
Nau-e-insaanee ke mustaqbil se kiyaa vaaqif na the
Hindiyon ke jism men kya rooh-e-aazaadee na thee
Sach bataao kya wo insaanon kee aabaadee na thee
Apne zulm-e-be-nihaayat kaa fasaana yaad hai
Company kaa phir wo daur-e-mujrimaana yaad hai
LooTte phirte the jab tum kaarvaan-dar-kaarvaan
Sar-barahna phir rahi thee daulat-e-hindostaan
Dast-kaaron ke angooThe kaaTte phirte the tum
Sard laashon se gaDhon ko paaTte phirte the tum
San.at-e-hindostaan par maut thee chhaa.ee huee
Maut bhee kaisee tumhaare haat kee laa.ee huee
Allaah allaah kis qadar insaaf ke taalib ho aaj
Meer-ja.afar kee qasam kya dushman-e-haq tha 'siraaj'
Kyaa avadh kee begamon kaa bhee sataanaa yaad hai
Yaad hai jhaansee kee raanee kaa zamaana yaad hai
Hijrat-e-sultaan-e-dehlee kaa samaan bhee yaad hai
Sher-dil 'Teepoo' kee khooneen daastaan bhee yaad hai
Teesare faaqe men ik girte hue ko thaamne
Kas ke tum laa.e the sar shaah-e-zafar ke saamne
Yaad to hogee wo maTiyaa-burj kee bhee daastaan
Ab bhee jis kee khaak se uThtaa hai rah rah kar dhuaan
Tum ne qaisar-e-baagh ko dekhaa to hogaa baarhaa
Aaj bhee aatee hai jis se haa.e 'akhtar' kee sadaa
Sach kaho kya haafize men hai wo zulm-e-be-panaah
Aaj tak ragon men ik qabr hai jis kee gavaah
Zehn men hogaa ye taaza hindiyon kaa daagh bhee
Yaad to hogaa tumhen jallianwala-bagh bhee
Poochh lo is se tumhaaraa naam kyuun taabinda hai
'dyer'-e-gurg-e-dahan-aalood ab bhee zinda hai
Vo 'bhagat-singh' ab bhee jis ke gham men dil naashaad hai
Us kee gardan men jo Daalaa tha wo phandaa yaad hai
Ahl-e-aazaadee raha karte the kis hanjaar se
Poochh lo ye qaid-khaanon ke dar-o-deevaar se
Ab bhee hai mahfooz jis par tantana sarkaar kaa
Aaj bhee goonjee huee hai jin men koDon kee sadaa
Aaj kashtee amn ke amvaaj par khete ho kyuun
Sakht hairaan hoon ki ab tum dars-e-haq dete ho kyuun
Ahl-e-quvvat daam-e-haq men to kabhi aate nahin
''bankee'' akhlaaq ko khatre men bhee laate nahin
Lekin aaj akhlaaq kee talqeen farmaate ho tum
Ho na ho apne men ab quvvat nahin paate ho tum
Ahl-e-haq raushan-nazar hain ahl-e-baatin kor hain
Ye to hain aqvaal un qaumon ke jo kamzor hain
Aaj shaayad manzil-e-quvvat men tum rahte nahin
Jis kee laaThee us kee bhains ab kis liye kahte nahin
Kyaa kahaa insaaf hai insaan kaa farz-e-avvaleen
Kyaa fasaad-o-zulm kaa ab tum men kas baaqee nahin
Der se baiThe ho nakhl-e-raastee kee Chaaon men
Kyaa khuda-naa-karda kuch moch aa ga.ee hai paanv men
Guunj Taapon kee na aabaadee na veeraane men hai
Khair to hai asp-e-taazee kya shifaa-khaane men hai
Aaj kal to har nazar men rahm kaa andaaz hai
Kuchh tabee.at kya naseeb-e-dushmanaan naa-saaz hai
Saans kya ukhDee ki haq ke naam par marne lage
Nau-e-insaan kee havaa-khvaahee kaa dam bharne lage
Zulm bhoole raagnee insaaf kee gaane lage
Lag ga.ee hai aag kya ghar men ki chillaane lage
Mujrmon ke vaaste zebaa nahin ye shor-o-shain
Kal 'yazeed' o 'shimr' the aur aaj bante ho 'husain'
Khair ai saudaagaro ab hai to bas is baat men
Vaqt ke farmaan ke aage jhukaa do gardanen
Ik kahaanee waqt likkhegaa na.e mazmoon kee
Jis kee surkhee ko zaroorat hai tumhaare Khoon kee
Vaqt kaa farmaan apna rukh badal saktaa nahin
Maut Tal saktee hai ab farmaan Tal saktaa nahin
Kis zaban se kah rahe ho aaj tum saudagaro
Dahr mein insaniyat ke nam ko uncha karo
Jis ko sab kahte hain hitler bheDiya hai bheDiya
BheDiye ko mar do goli pae-amn-o-baqa
Bagh-e-insani mein chalne hi pe hai baad-e-KHizan
Aadamiyyat le rahi hai hichkiyon par hichkiyan
Hath hai hitler ka raKHsh-e-KHud-sari ki bag par
Tegh ka pani chhiDak do germany ki aag par
SaKHt hairan hun ki mahfil mein tumhaari aur ye zikr
Nau-e-insani ke mustaqbil ki ab karte ho fikr
Jab yahan aae the tum saudagari ke waste
Nau-e-insani ke mustaqbil se kiya waqif na the
Hindiyon ke jism mein kya ruh-e-azadi na thi
Sach batao kya wo insanon ki aabaadi na thi
Apne zulm-e-be-nihayat ka fasana yaad hai
Company ka phir wo daur-e-mujrimana yaad hai
LuTte phirte the jab tum karwan-dar-karwan
Sar-barahna phir rahi thi daulat-e-hindostan
Dast-karon ke anguThe kaTte phirte the tum
Sard lashon se gaDhon ko paTte phirte the tum
Sanat-e-hindostan par maut thi chhai hui
Maut bhi kaisi tumhaare hat ki lai hui
Allah allah kis qadar insaf ke talib ho aaj
Mir-jafar ki qasam kya dushman-e-haq tha 'siraj'
Kya awadh ki begamon ka bhi satana yaad hai
Yaad hai jhansi ki rani ka zamana yaad hai
Hijrat-e-sultan-e-dehli ka saman bhi yaad hai
Sher-dil 'Tipu' ki KHunin dastan bhi yaad hai
Tisare faqe mein ek girte hue ko thamne
Kas ke tum lae the sar shah-e-zafar ke samne
Yaad to hogi wo maTiya-burj ki bhi dastan
Ab bhi jis ki KHak se uThta hai rah rah kar dhuan
Tum ne qaisar-e-bagh ko dekha to hoga barha
Aaj bhi aati hai jis se hae 'aKHtar' ki sada
Sach kaho kya hafize mein hai wo zulm-e-be-panah
Aaj tak ragoon mein ek qabr hai jis ki gawah
Zehn mein hoga ye taza hindiyon ka dagh bhi
Yaad to hoga tumhein jallianwala-bagh bhi
Puchh lo is se tumhaara nam kyun tabinda hai
'dyer'-e-gurg-e-dahan-alud ab bhi zinda hai
Wo 'bhagat-singh' ab bhi jis ke gham mein dil nashad hai
Us ki gardan mein jo Dala tha wo phanda yaad hai
Ahl-e-azadi raha karte the kis hanjar se
Puchh lo ye qaid-KHanon ke dar-o-diwar se
Ab bhi hai mahfuz jis par tantana sarkar ka
Aaj bhi gunji hui hai jin mein koDon ki sada
Aaj kashti amn ke amwaj par khete ho kyun
SaKHt hairan hun ki ab tum dars-e-haq dete ho kyun
Ahl-e-quwwat dam-e-haq mein to kabhi aate nahin
Banki aKHlaq ko KHatre mein bhi late nahin
Lekin aaj aKHlaq ki talqin farmate ho tum
Ho na ho apne mein ab quwwat nahin pate ho tum
Ahl-e-haq raushan-nazar hain ahl-e-baatin kor hain
Ye to hain aqwal un qaumon ke jo kamzor hain
Aaj shayad manzil-e-quwwat mein tum rahte nahin
Jis ki laThi us ki bhains ab kis liye kahte nahin
Kya kaha insaf hai insan ka farz-e-awwalin
Kya fasad-o-zulm ka ab tum mein kas baqi nahin
Der se baiThe ho naKHl-e-rasti ki chhanw mein
Kya KHuda-na-karda kuch moch aa gai hai panw mein
Gunj Tapon ki na aabaadi na virane mein hai
KHair to hai asp-e-tazi kya shifa-KHane mein hai
Aaj kal to har nazar mein rahm ka andaz hai
Kuchh tabiat kya nasib-e-dushmanan na-saz hai
Sans kya ukhDi ki haq ke nam par marne lage
Nau-e-insan ki hawa-KHwahi ka dam bharne lage
Zulm bhule ragni insaf ki gane lage
Lag gai hai aag kya ghar mein ki chillane lage
Mujrmon ke waste zeba nahin ye shor-o-shain
Kal 'yazid' o 'shimr' the aur aaj bante ho 'husain'
KHair ai saudagaro ab hai to bas is baat mein
Waqt ke farman ke aage jhuka do gardanen
Ek kahani waqt likkhega nae mazmun ki
Jis ki surKHi ko zarurat hai tumhaare KHun ki
Waqt ka farman apna ruKH badal sakta nahin
Maut Tal sakti hai ab farman Tal sakta nahin